Posts tagged ‘Pakistani’

Aik Udas Dil

Here is the story of Aik Udas Dil. This ghazal is written by Eman Ali. A young but talented urdu poet.

فروری 12, 2010 at 10:48 2 تبصرہ

Waqat

kyun waqt kum hey !!!
kyun waqt kum hey !!!
mujhey bohat sey kaam kernay hein

abhi tu khul key hansna hey
abhi jee bhar key rona hey,

abhi tu zindagi ko main ney
chhuu key na dekha tha
abhi tu goud mey uski
mujhey bey fikr sona hey,

kyun waqt kum hey !!!

kyun waqt kum hey !!!
mujhey bohat sii baat kehni hey

un chhuee rutoo’n ko apna banana hey
aur dil ka kisi ko.. raaz sunana hey,

bohat sey khawb undekhey
bohat sey unkhaey hein lafz
unhi lafzoo’n ki dhun pey
piyaar ka ik saaz bajana hey,

per …
kyun waqt kum hey !!!

mujhey bohat sey kaam kernay hein …

مارچ 28, 2009 at 08:01 تبصرہ کریں

Sandeesa

Bichartay lamhay
us ne kaha
jee na paoon gi
tumharay bin
Phir Aaj mudat bad
Mehkti hawa
Suna gaye haal uska

مارچ 21, 2009 at 08:01 تبصرہ کریں

ukh Fasana nahien ke tujh se kahien

Dukh Fasana nahien ke tujh se kahien
Dil bhi mana nahien ke tujh se kahien

Aaj tuk Apni be-kali ka sabab
Khud bhi jana nahien ke tujh se kahien

Aik to haraf-e-Ashna tha mager
Ab zamana nahien ke tujh se kahien

Ae khuda durd-e-dil hai bahsish-e-Dost
Aab-o-dana nahien ke tujh se kahien

مارچ 14, 2009 at 08:00 1 comment

Tanhaye

Barish main beeghtay rahtay hain
barsat main tanha phirtay hain

مارچ 7, 2009 at 08:00 1 comment

Older Posts Newer Posts


A Place For Indian And Pakistani Chatters

Todd Space Social network

زمرے