Posts Tagged Dil
Aaj Kal Mojzay Nahi Hotay
Chahtoon main Ghilay nahi hotay
ishq main Zabtay nahi hoptay
yaad kertay hain dil hi dil main tujhe
ab tere tazkray nahi hotay
kho ke sab kuch khayal ata hai
kash hum tum se milay nahi hotay
meri kismet wo ban to jaye mager
Aaj kal mojzay nahi hotay
6 comments June 2, 2009
ukh Fasana nahien ke tujh se kahien
Dukh Fasana nahien ke tujh se kahien
Dil bhi mana nahien ke tujh se kahien
Aaj tuk Apni be-kali ka sabab
Khud bhi jana nahien ke tujh se kahien
Aik to haraf-e-Ashna tha mager
Ab zamana nahien ke tujh se kahien
Ae khuda durd-e-dil hai bahsish-e-Dost
Aab-o-dana nahien ke tujh se kahien
1 comment March 14, 2009
Fana honay main ansoo ka sath diya
Fana honay main ansoo ka sath diya
Mujh se accha to teri Ankh ka Kajal nikla
Tera Anchal samjh ke hath bardhaya main ne
mager wo to ik Awara badal nikla
Roshni ki talash main andheera dhoond laya
dil maira bhi mairy tarah pagal nikla
Add comment February 28, 2009
Dosti
dosti dil se hoti hai
zaroori nahi ke mulaqat ho
yeah to ik ehsaas hota hai
zaroori nahi ke baat ho
yeah to ik pal main ban jaati hai
zaroori to nahi umer bhar ka saath ho
4 comments December 24, 2008
Tasqeen na ho jis se wo raaz badal dhalo
Tasqeen na ho jis se wo raaz badal dhalo
Jo raaz na rukh paye ,humraz badal dhalo.
Tum nien bhi suni ho ge ik aam kahawat hai
Anjam ka ho khatra aaghaz badal dhalo
Pur soz diloon ko jo muskan na de paye
Sur hi na milay jis main wo saaz badal dhalo
Dushman ke iradoon ko hai zair ager kerna.
Tum khail wohi khailo andaz badal dhalo.
Aye Dost kero himmat kuch door Swaira hai
Ager chahtay ho manzil perwaz badal dhalo
5 comments October 24, 2008


