Archive for February, 2009
Ik Din Aisa ho ga!!!!
Mairy hatheeli Se phooti roshni
mairay muqader ki saya ratoon ko
ik aisa sitara bakhshay gi
jis ki chamak
teri ankhoon ko chundya de gi
Ratoon ko phir to so na sakay ga
Hath rukh ke ankhoon per
kabhi ro na sakay ga
3 comments February 28, 2009
Fana honay main ansoo ka sath diya
Fana honay main ansoo ka sath diya
Mujh se accha to teri Ankh ka Kajal nikla
Tera Anchal samjh ke hath bardhaya main ne
mager wo to ik Awara badal nikla
Roshni ki talash main andheera dhoond laya
dil maira bhi mairy tarah pagal nikla
Add comment February 28, 2009
us sham wo rukhsat ka Sama’n yaad rahay ga
us sham wo rukhsata ka Sama’n yaad rahay ga
Wo sheher, Wo kocha, wo makan yaad rahay ga
Wo tais ke ubhri thi idher yaad rahay gi
Wo durd ke utha tha yahan yaad rahay ga
Hum shoq ke sholay ki lapak bhool bhi jaien gay
Wo shama Afsurda ka dhuwan yaad rahay ga
haan bazam-e-shabana main hamien shoq jo us din
hum to teri janab nigran yaad rahay ga
kuch meer ke Abiyat thay , kuch Faiz ke misray
ik durd ka tha , jin main bayan yaad rahay ga
hum bhool sakien hain na tujhe bhool Sakien gay
To yaad rahay ga hamien , haan yaad rahay ga
1 comment February 28, 2009


